Shadi Me Jannat Ki Rukawat Dur Karne ka Wazifa

Shadi Me Jannat Ki Rukawat Dur Karne ka Wazifa ,” Aksar dekha gaya hai ke naujawan larkiyon par jinnat ka asar ho jata hai keh jis ki wajah se larki ki kisi achi jagah baat cheet hotay hotay bigar jati hai aur woh shareer jin husool-e-rishtna main tarah tarah ki rukawatain paida karna shuru kar dete hain.
Is mushkil se khalasi ke liye darj zail main amal nahayat munasib hai. Baad namaz-e-isha larki ke parents main se koi Surah Al-Hashr ki akhri 3 Ayaat 100 baar pani par dam kar ke woh pani sara din istemal karwayain aur musalsal 21 din ye amal karain.
Insha’Allah is amal ki badolat tamam rukawatain door hon aur shareer jinnat se amaan hasil ho aur agar kisi naik shakhs se in Ayaat ko zafran wagera se likhwa kar larki ke galey main dale tou jald kamyabi ho aur bohat jald acha rishta milay. In 3 Ayaat main Allah ke mubarak 17 names bhi hain.

Please follow and like us:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *